-

18 April 2014

Faraz Ahmad



---------------------------------
Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay
-----------------------------


Humi ne tark-e-taluq main pehel ki ke Faraz,
Woh chahtaa tha magar hauslaa na tha us ka..
------------------------------


Yeh kya ke beyaan sab se dil ki haaltain karni,
Faraz tujh ko na aayin mohabbtain karni..
-------------------------


Abhi abhi woh mila tha hazaar batain ki’n,
Abhi abhi woh geya hai magar zamaana hua
----------------


Zikr us ka hi sahi bazm main bethe ho Faraz,
Dard kesa hi uthay hath na dil par rakhna.
--------------------------------


Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay
 AisayPer Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay
------------------------


Woh aik raat guzar bhi gayi magar ab tak,
Visaal-e-yaar ki lazzat mein toot’ta hai badan.
---------------------------


Woh zindagi ho ke dunya Faraz kya kijiye,
Ke jiss se ishq karo bewafa nikalti hai..
-------------------


Toota to hoon magar abhi bikhraa nahin Faraz,
Mere badan pe jese shikaston ka jaal ho..
------------------


Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.
--------------------


qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
--------------------


Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya UsNe,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

♥♥♥♥♥

No comments:

Post a Comment

Newer post

Followers

♥"Flag Counter"♥

Flag Counter

facebook like slide right side

like our page

pic headar